اردو हिंदी
Ai maut unhen bhulae zamane guzar gae | Shaahi Shayari
ai maut unhen bhulae zamane guzar gae

Ghazal

Ai maut unhen bhulae zamane guzar gae

Khumar Barabankavi

;

ai maut unhen bhulae zamane guzar gae
aa ja ki zahr khae zamane guzar gae

o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae

gham hai na ab KHushi hai na ummid hai na yas
sab se najat pae zamane guzar gae

kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto
patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae

jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main
aa ja ki muskurae zamane guzar gae

kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'KHumar'
ye tir bhi chalae zamane guzar gae