ai mausam-e-junun ye ajab tarz-e-qatl hai
insaniyat ke kheton mein lashon ki fasl hai
apne lahu ka rang bhi pahchanti nahin
insan ke nasib mein andhon ki nasl hai
munsif to faislon ki tijarat mein lag gae
ab jaane kis se hum ko taqaza-e-adl hai
dushman ka hausla kabhi itna qawi na tha
mere tabah hone mein tera bhi daKHl hai
laDte bhi hain to pyar se munh moDte nahin
hum se kahin ziyaada to bachchon mein aql hai
tariKH kah rahi hai ki chehra badal gaya
insan hai musir ki wahi apni shakl hai
dawa-e-KHun-baha na tazallum na ehtijaj
kis be-nawa-e-waqt ka 'ibrat' ye qatl hai
Ghazal
Ai mausam-e-junun ye ajab tarz-e-qatl hai
Ibrat Machlishahri