ai markaz-e-KHayal bikharne laga hun main
apne tasawwuraat se Darne laga hun main
is dopahar ki dhup mein saya bhi kho gaya
tanhaiyon ke dil mein utarne laga hun main
bardasht kar na paunga wahshat ki raat ko
use sham-e-intizar bipharne laga hun main
is tirgi mein kirmak-e-shab-tab bhi nahin
tarikiyon ko ruh mein bharne laga hun main
ab dil mein teri yaad ki ek shama tak nahin
tarik raston se guzarne laga hun main
Ghazal
Ai markaz-e-KHayal bikharne laga hun main
Farooq Nazki