ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao
kis jagte baatin ka main imkan hun batao
main ek khule bab-e-tasawwur ki rasai
main kis ke liye is qadar aasan hun batao
kis lams ki tahrir hun mehrab-e-hawa par
kis lafz ka mafhum-e-farawan hun batao
kis manzar-e-isbaat ke honTon ki ziya hun
kis chup ki main aawaz-e-farawan hun batao
main silsila-dar-silsila ek nama-e-raushan
kis harf-e-bashaarat ka dabistan hun batao
kis bosa-e-be-saKHta ka hun main taqaddus
kis sina-e-be-dagh ka arman hun batao
main subh ke nazzara-e-awwal ki KHunuk bu
main kis ka ye sarmaya-e-arzan hun batao
Ghazal
Ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao
Rajinder Manchanda Bani