ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de
meri taraf bhi ek sitara uchhaal de
hum pure aaftab ke qabil nahin agar
thoDi si pili dhup hi aankhon mein Dal de
han kahte kahte gung na ho jae dil kahin
yarab meri zaban ko tab-e-sawal de
rogi hua hai dhup ko tarsa hua badan
ai mamta suput ko ghar se nikal de
koi to doston se mere dosti kare
koi to mehrban ho balaon ko Tal de
tu lafz-gar to hai tujhe shair kahenge jab
ek be-zaban harf ko naghme mein Dhaal de
bijli ka tir jaise dhanak ki kaman mein
kya aur is shabab ki koi misal de
'baqar' is aaftab mein jauhar hai is qadar
aa jae josh mein to samundar ubaal de
Ghazal
Ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de
Baqar Naqvi