ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun
hun jawar-e-yar main ya kucha-e-qatil mein hun
pa-ba-jaulan apne shanon par liye apni salib
main safir-e-haq hun lekin nargha-e-baatil mein hun
jashn-e-farda ke tasawwur se lahu gardish mein hai
haal mein hun aur zinda apne mustaqbil mein hun
dam-ba-KHud hun ab sar-e-maqtal ye manzar dekh kar
main ki KHud maqtul hun lekin saf-e-qatil mein hun
ek zamana ho gaya bichhDe hue jis se 'surur'
aaj usi ke samne hun aur bhari mahfil mein hun

Ghazal
Ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun
Suroor Barabankvi