ai junun hote hain sahra par utare shahr se
fasl-e-gul aai ki diwane sidhaare shahr se
KHub roe haal par apne watan ka sun ke haal
koi ghurbat mein jo aa nikla hamare shahr se
jaan dunga main asir ai dosto chupke raho
zikr kya us ka ki diwana sudhaare shahr se
mausam-e-gul mein raha zindan mein aur aai na maut
samne hoti nahin hai aankh sare shahr se
josh-e-wahshat mein jo li zindan se main ne rah-e-dasht
kud-kan mujh ko KHuda-hafiz pukare shahr se
panw mein majnun ke to taqat nahin ai kudko
mausam-e-gul ki hua tum ko ubhaare shahr se
ek nazar lillah hum ko surat-e-zeba dikhao
tishna-e-didar jate hain tumhaare shahr se
dasht-gardi ki nahin diwane ko kuchh ehtiyaj
jame se bahar jo hai bahar hai sare shahr se
unT si lagti hai dil jangal se hota hai uchaT
sang-e-tiflan karte hain mujh ko ishaare shahr se
lash-e-wahshat se nahin pahuncha main sahra tak hanuz
jaane wale gor ke pahunche kinare shahr se
mausam-e-gul aai niyyat ser diwanon ki ho
mewa-e-sahrai par hain munh pasare shahr se
ab to aazurda hai tu lekin malega hath phir
jis ghaDi 'atish' nikal jawega pyare shahr se
Ghazal
Ai junun hote hain sahra par utare shahr se
Haidar Ali Aatish