ai junun dasht mein diwar kahan se laun
main tamasha sahi bazar kahan se laun
yaad-e-ayyam ki kuchh sar mein samai thi hawa
ab wo TuTa hua pindar kahan se laun
kis se puchhun ki mera haal-e-pareshan kya hai
tujh ko ai aaina-bardar kahan se laun
meri un aankhon ne jaise tujhe dekha hi nahin
hae wo hasrat-e-didar kahan se laun
in nigahon mein tarasne ki si kaifiyyat hai
taqat-e-pursish-e-bimar kahan se laun
ab mere kufr ko iman nahin kahta koi
tujh ko ai chashm-e-taraf-dar kahan se laun
tha ye ghar bab-e-dua misl-e-asar tera warud
ab tujhe ai qadam-e-yar kahan se laun
Ghazal
Ai junun dasht mein diwar kahan se laun
Shaz Tamkanat