اردو हिंदी
Ai jalis ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho | Shaahi Shayari
ai jalis ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho

Ghazal

Ai jalis ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho

Brahma Nand Jalees

;

ai 'jalis' ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho
ibn-e-adam ho yahi jin-e-wirasat ho to ho

rah gai tanha ye ashk-afshan hamare haal par
gham-gusari apni bhi ek sham-e-turbat ho to ho

aatish-e-gham ne jala kar KHak kar Dala use
dil kahan sine mein ab ek dagh-e-hasrat ho to ho

karwan-e-zindagi ka lag raha hai chal chalao
har-nafas hum ko sada-e-kos-e-rehlat ho to ho

dard-mandon ka yahan koi nahin pursan-e-haal
ai ajal in bekason par teri rahmat ho to ho

gardish-e-dauran muKHalif hai na hai dushman falak
barsar-e-paikar mujh se meri qismat ho to ho

aadmi wo hai jise pas-e-mohabbat ho 'jalis'
aur ye shai aadmi mein aadamiyat ho to ho