ai jaan husn-e-afsar-e-KHuban tumhin to ho
main ek gada-e-ishq hun sultan tumhin to ho
pahunchi hai aasman pe tajalli jamal ki
kahte hain log mehr-e-daraKHshan tumhin to ho
sach sach ye kah raha hai tanasuKH ka masala
ruh-e-aziz-e-yusuf-e-kanan tumhin to ho
aage tumhaare sarw hai ghairat se pa-ba-gul
sahn-e-chaman mein sarw-e-KHiraman tumhin to ho
har baat par bigaDte ho rindon se shaiKH-ji
sare jahan mein ek musalman tumhin to ho
dil mera le ke tum ne khilauna bana liya
duniya mein ek tiflak-e-nadan tumhin to ho
baaton mein sehr chaal mein mahshar nigah mein qahr
sabit hai in se fitna-e-dauran tumhin to ho
dil de ke tum ko kyun na kahun maya-e-hayat
mere jigar tumhin ho meri jaan tumhin to ho
maddah hon tumhaare na kis tarah haq-pasand
'ahqar' buton ke ek sana-KHwan tumhin to ho
Ghazal
Ai jaan husn-e-afsar-e-KHuban tumhin to ho
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar