اردو हिंदी
Ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi KHub hai | Shaahi Shayari
ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi KHub hai

Ghazal

Ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi KHub hai

Salma shaheen

;

ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi KHub hai
thake thake se baam par hasin dhanak bhi KHub hai

ajib sehr hai tere huruf-e-pak-baz mein
tere mizaj-e-shoala bar ki lapak bhi KHub hai

tere libas mein basi hain jaan-nawaz KHushbuen
masham-e-jaan hai itr-bez ye mahak bhi KHub hai

nahin hai mo'atabar jo apna wasf KHud bayan kare
ai jaan-e-e'tibar us pe tera shak bhi KHub hai

tujhe main manti hun hai tera shuur mo'atabar
teri hasin fikr ki chamak damak bhi KHub hai

pasand hain nazar nazar ko jaan teri wajahaten
malih ruKH ki ye chamak namak damak bhi KHub hai

samaaton mein hone lagti hai ajib raushni
teri sada-e-nur ki lapak jhapak bhi KHub hai