اردو हिंदी
Ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui | Shaahi Shayari
ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui

Ghazal

Ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui

Mushafi Ghulam Hamdani

;

ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui
shor-e-junun kidhar gaya zanjir kya hui

diwana-pan ka mere jo karte nahin ilaj
tadbir karne walon ki tadbir kya hui

aagu ki tarah aap jo ab bolte nahin
kya jaane aisi hum se wo taqsir kya hui

hum ne to tum ko dauD ke kauli mein bhar liya
farmaiye ab aap ki shamshir kya hui

ki thi jo main muraqqa-e-alam se intiKHab
ai 'mushafi' daregh wo taswir kya hui