ai husn zamane ke tewar bhi to samjha kar
ab zulm se baz aa ja ab jaur se tauba kar
TuTe hue paimane bekar sahi lekin
mai-KHane se ai saqi bahar to na phenka kar
jalwa ho to jalwa ho parda ho to parda ho
tauhin-e-tajalli hai chilman se na jhanka kar
arbab-e-junun mein hain kuchh ahl-e-KHirad shamil
har ek musafir se manzil ko na puchha kar
Ghazal
Ai husn zamane ke tewar bhi to samjha kar
Fana Nizami Kanpuri