ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
KHali paDe hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhoD kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere KHush-KHiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khaDe hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
Ghazal
Ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
Saghar Siddiqui