ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD
tu galiyan diye ja hamein galiyan na chhoD
waiz buton ke chah-e-zaqan ka bayan na chhoD
warna kahin na paega pani kuan na chhoD
pahuncha de makr-o-kaidd ko hadd-e-kamal tak
ai dost na-tamam koi dastan na chhoD
in rahbaran-e-qaum se ya-rab bacha mujhe
char lengi sab chaman mera ye bakriyan na chhoD
phulon se bhar sake na agar daman-e-hawas
sehn-e-chaman ki ghas bhi ai baghban na chhoD
be-waswasa gharibon pe bhi hath saf kar
mil jaen to jawar ki bhi roTiyan na chhoD
diwanon ke to jaib o gireban ka zikr kya
gar dhajjiyan bhi hath lagen mehrban na chhoD
insaniyat mein baqi hai saffak dam abhi
ek hath kas ke aur use nim-jaan na chhoD
zalim usi ne nak mein dam kar diya tera
ragDe ja KHub gardan-e-amn-o-aman na chhoD
ab zulm mein izafa na kar bani-e-jafa
qasr-e-sitam ke aage koi saeban na chhoD
ranj-o-alam ka zaiqa ek roz tu bhi chakh
ye KHas jaunpur ki tu muliyan na chhoD
ai 'shauq' ye jafaen hain kya ye sitam hain kya
har imtihan mein baiTh koi imtihan na chhoD
Ghazal
Ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD
Shauq Bahraichi