ai ham-safaro kyun na naya shahr basa len
apne hi usul apni hi aqdar bana len
jin logon ne ab tak mere honTon ko siya hai
sozan se meri soch ka kanTa bhi nikalen
barfon pe alaw nahin lagte hain to yaro
bujhti hui qindil se qindil jala len
kahne ko to bazar ki hum jins-e-giran hain
lekin hamein kauDi pe KHaridar uTha len
bojh apna bhi hum se to uThaya nahin jata
aur aap musir aap ka bhi bojh uTha len
Ghazal
Ai ham-safaro kyun na naya shahr basa len
Fakhr Zaman