ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD
kis ne kaha hai tujh se qadam ke nishan chhoD
phir dekh zindagi ke maze tajrabon ke rang
bahar qadam nikal zara saeban chhoD
ab dosti nahin na sahi dushmani sahi
koi to rabte ki kaDi darmiyan chhoD
us ki wafaen sirf hawaon ke sath hain
ye etimad-e-dosti-e-baadban chhoD
talwar ki zaban samajhne lage hain log
ab ye mahatmaon ka tarz-e-bayan chhoD
jo tere sar-parast the kab ke chale gae
firqa-parasti tu bhi ye hindostan chhoD
baqi jo bach rahe hain wo circus ke sher hain
murda hua ye dasht shikari machan chhoD
Ghazal
Ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD
Zafar Sahbai