ai gham-zada zabt kar ke chalna
har gam Thahar Thahar ke chalna
andaz ghazab hai ye buton ka
hathon ko kamar pe dhar ke chalna
jate hue us gali se hum ko
har gam ek aah bhar ke chalna
ai kabk kahan tu aur wo raftar
pawega na aisa mar ke chalna
ai 'mushafi' kyun dabun na us se
aashiq ka hai shewa Dar ke chalna
Ghazal
Ai gham-zada zabt kar ke chalna
Mushafi Ghulam Hamdani