اردو हिंदी
Ai gham-e-hijr raat kitni hai | Shaahi Shayari
ai gham-e-hijr raat kitni hai

Ghazal

Ai gham-e-hijr raat kitni hai

Gyan Chand Mansoor

;

ai gham-e-hijr raat kitni hai
aur teri hayat kitni hai

sans par hai madar hasti ka
kaenat-e-hayat kitni hai

os ke motiyon se ye puchho
aabru-e-hayat kitni hai

puchhta hun kisi se apna pata
be-KHabar meri zat kitni hai

kyun haram hi ke ho rahe waiz
wusat-e-kaenat kitni hai

dida-e-barhaman se dekh ai shaiKH
azmat-e-somnat kitni hai