ai ghairat-e-gham aankh meri nam to nahin hai
koi dil-e-KHun-gashta ka mahram to nahin hai
riste hue zaKHmon ka ho kuchh aur mudawa
ye harf-e-tasalli koi marham to nahin hai
KHamosh hain kyun nala-kshan-e-shab-e-hijran
ye tira-shabi aaj bhi kuchh kam to nahin hai
jalta to hai dil aaj bhi ai tirgi-e-gham
ek shama ki lau aaj bhi maddham to nahin hai
us bazm mein sab kuchh hai magar ai dil-e-pur-shauq
teri si talab tera sa aalam to nahin hai
kuchh wo bhi hain chup-chap se kuchh main bhi hun KHamosh
dar-parda koi ranjish-e-baham to nahin hai
Ghazal
Ai ghairat-e-gham aankh meri nam to nahin hai
Moin Ahsan Jazbi