ai dost teri baat sahar-KHez bahut hai
par tarz-e-takallum tera KHun-rez bahut hai
gum-sum sa khaDa hai koi darwaza-e-dil par
is sham ka manzar to dil-awez bahut hai
mahfil mein tere hone se hai rang pe mausam
ahwal-e-KHas-o-am tarab-KHez bahut hai
ek shaKHs jo uljha hai nai fikr-o-nazar mein
wo sahib-e-KHush-fahm hai aur tez bahut hai
jo baat tu kahta hai wahi baat ho shayad
lekin teri ye baat gham-angez bahut hai
bhaDke hue shoale hi mata-e-dil-o-jaan hain
'alam' tere kuche mein hawa tez bahut hai
Ghazal
Ai dost teri baat sahar-KHez bahut hai
Afroz Alam