اردو हिंदी
Ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya | Shaahi Shayari
ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya

Ghazal

Ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya

Qateel Shifai

;

ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya
main KHub hansunga tujhe gham hai to mujhe kya

kya main ne kaha tha ki zamane se bhala kar
ab tu bhi sazawar-e-sitam hai to mujhe kya

han le le qasam gar mujhe qatra bhi mila ho
tu shaki-e-arbab-e-karam hai to mujhe kya

jis dar se nadamat ke siwa kuchh nahin milta
us dar pe tera sar bhi jo KHam hai to mujhe kya

main ne to pukara hai mohabbat ke ufaq se
raste mein tere sang-e-haram hai to mujhe kya

bhula to na hoga tujhe suqraat ka anjam
hathon mein tere saghar-e-sam hai to mujhe kya

patthar na paDen gar sar-e-bazar to kahna
tu motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya

main sarmad o mansur bana hun teri KHatir
ye bhi teri ummid se kam hai to mujhe kya