ai dost mujhe soz-e-nihan mar na Dale
ye nala-e-shab aah-o-fughan mar na Dale
ek umr se paiwast rag-e-jaan hai magar ab
Darta hun ki ye tir-e-tapan mar na Dale
raij hai zaban-bandi ka dastur chaman mein
bulbul ko kahin zabt-e-fughan mar na Dale
KHurshid-e-qayamat se siwa soz-e-darun hai
ai shaiKH tujhe ishq-e-butan mar na Dale
tu KHwab hai ehsas hai naghma hai ki gul hai
ye kashmakash-e-wahm-o-guman mar na Dale
but-KHane mein jata hai baDe shauq se lekin
zahid ko kahin husn-e-butan mar na Dale
betabi-e-dil ki ye dawa KHub hai lekin
pahlu mein ye sharbat ki dukan mar na Dale
had se na guzar jae teri tarz-e-taghaful
furqat teri ai jaan-e-jahan mar na Dale
baiTha hun tere saya-e-gesu mein magar ab
Darta hun ki ye rahat-e-jaan mar na Dale
ab daulat-e-dil haar ke rota hai 'muzaffar'
muflis ko ye ehsas-e-ziyan mar na Dale

Ghazal
Ai dost mujhe soz-e-nihan mar na Dale
Muzaffar Ahmad Muzaffar