ai dost miT gaya hun fana ho gaya hun main
is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main
qaem kiya hai main ne adam ke wajud ko
duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main
himmat buland thi magar uftad dekhna
chup-chap aaj mahw-e-dua ho gaya hun main
ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin
shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main
han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai
mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main
Ghazal
Ai dost miT gaya hun fana ho gaya hun main
Hafeez Jalandhari