اردو हिंदी
Ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha | Shaahi Shayari
ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha

Ghazal

Ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha

Rajinder Manchanda Bani

;

ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha
qail hi teri baat ka andar se nahin tha

har aankh kahin daur ke manzar pe lagi thi
bedar koi apne barabar se nahin tha

kyun hath hain KHali ki hamara koi rishta
jangal se nahin tha ki samundar se nahin tha

ab us ke liye is qadar aasan tha sab kuchh
waqif wo magar sai mukarrar se nahin tha

mausam ko badalti hui ek mauj-e-hawa thi
mayus main 'bani' abhi manzar se nahin tha