ai dost kahin tujh pe bhi ilzam na aae
is meri tabahi mein tera nam na aae
ye dard hai hamdam usi zalim ki nishani
de mujh ko dawa aisi ki aaram na aae
kandhe pe uThae hain sitam rah-e-wafa ke
shikwa mujhe tum se hai ki do-gam na aae
lagta hai ki phailegi shab-e-gham ki siyahi
aansu meri palkon pe sar-e-sham na aae
main baiTh ke pita rahun bas teri nazar se
hathon mein kabhi mere koi jam na aae
baiTha hun diya ghar ka jo 'nasir' main jala ke
aisa na ho phir wo dil-e-nakaam na aae
Ghazal
Ai dost kahin tujh pe bhi ilzam na aae
Hakeem Nasir