ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae
wada agar kiya hai to ifa kiya na jae
aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste
ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae
majburiyon ke raaz na khul jaen baad-e-marg
qatil hamare qatl ka charcha kiya na jae
aaegi apne lab pe to hogi parai baat
lazim hai raaz-e-dil kabhi ifsha kiya na jae
wo KHud hi jaan lenge mere dil ka muddaa
behtar yahi hai arz-e-tamanna kiya na jae
Ghazal
Ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae
Hameed Jalandhari