ai do-jahan ke malik aala hai nam tera
par dil ki bastiyon mein dekha maqam tera
mauquf kab hai jinn-o-ins-o-malaika par
tair bhi nam lete hain subh-o-sham tera
taKHsis neamaton mein abrar ki nahin kuchh
ashrar par bhi har-dam hai lutf-e-am tera
had ho gai ki tere mahbub ki zaban se
hum KHakiyon ko pahuncha yarab payam tera
tu pardar-e-shab hai to KHaliq-e-sahar hai
KHurshid-e-charKH kya hai adna ghulam tera
sab kuchh miTa chuki hun is aarzu pe yarab
ho jae lauh-e-dil par manqush nam tera
Ghazal
Ai do-jahan ke malik aala hai nam tera
Anisa Begum