اردو हिंदी
Ai dil ye hai KHilaf-e-rasm-e-wafa-parasti | Shaahi Shayari
ai dil ye hai KHilaf-e-rasm-e-wafa-parasti

Ghazal

Ai dil ye hai KHilaf-e-rasm-e-wafa-parasti

Aziz Lakhnavi

;

ai dil ye hai KHilaf-e-rasm-e-wafa-parasti
tauba buton ke aage zikr-e-KHuda-parasti

ek KHanjar-e-qaza hai ek nashtar-e-jafa hai
wo chashm-e-shoKH jo hai mahw-e-haya-parasti

dikhlaunga tamasha is aaine mein tum ko
subh-e-azal se dil hai mahw-e-safa-parasti

zalim ki hai ye koshish is ko kahin miTa dun
mazlum dil ko mere fikr-e-baqa-parasti

kyun saz-o-barg-e-hasti karta hai tu muhayya
duniya ko hai azal se zauq-e-fana-parasti

lai na mai-kade se wapas 'aziz' tujh ko
ye hikmat-o-tasawwuf ye auliya-parasti