ai dil us zulf ki rakhiyo na tamanna baqi
hashr tak warna rahegi shab-e-yalda baqi
tere hangama se KHush hun magar ai josh-e-junun
kuchh qayamat ke liye bhi rahe ghaugha baqi
aap ko bech chuka hun tere gham ke hathon
hai magar ishq ka tere abhi sauda baqi
gham-e-hijran mein gai jaan chalo KHub hua
doston ko na rahe fikr-e-mudawa baqi
jaan sine se nikalne ko hai dil pahlu se
hai faqat us nigah-e-naz ka ima baqi
KHak-e-ashiq se ugata hai mughilan ka daraKHt
us ki mizhgan ka hai marqad mein bhi khaTka baqi
Ghazal
Ai dil us zulf ki rakhiyo na tamanna baqi
Ashique Akbarabadi