ai dil teri aahon mein itna to asar aae
jab yaad karun un ki taswir nazar aae
har chand hasin the tum har chand jawan the tum
par ishq ke sae mein kuchh aur nikhar aae
main khel samajhta tha mujh ko ye KHabar kya thi
kya jaaniye kab mere dil mein wo utar aae
us husn ke jalwon ne kuchh sehr kiya aisa
nazron mein na meri phir kuchh shams-o-qamar aae
phir kis se milen nazren phir kis ne mujhe chheDa
phir daur-e-mohabbat ke sab naqsh ubhar aae
tufan-e-hawadis ne kab kab na hamein ghera
dariya-e-mohabbat mein kya kya na bhanwar aae
halki si siyahi hai tahrir-e-mohabbat ki
aansu ki jagah bah kar phir KHun-e-jigar aae
manzil ki tamanna ne rukne na diya us ko
raste mein musafir ke go lakh shajar aae
pur-KHar thin viran thin rahen to mohabbat ki
jaanbaz tere lekin be-KHauf-o-KHatar aae
go lakh kaha dil ne ruk jao Thahar jao
hum phir bhi na jaane kyun chup-chap guzar aae
kya aur na tha koi jo un ko samajh pata
bazar-e-jihaalat mein kyun ahl-e-hunar aae
is daur-e-taraqqi mein bas wo hai 'zaki' achchha
jo sidhe ya ulTe hi har kaam ko kar aae
Ghazal
Ai dil teri aahon mein itna to asar aae
Zaki kakorvi