ai dil tere KHayal ki duniya kahan se laen
in wahshaton ke waste sahra kahan se laen
hasrat to hai yahi ki ho duniya se dil ko mel
ho jis se dil ko mel wo duniya kahan se laen
dekha tha jo nihaal-e-tamanna ke sae mein
ai be-dili wo dil dil-e-afza kahan se laen
raushan the jo kabhi wo nazare kidhar gae
barpa tha jo kabhi wo tamasha kahan se laen
kya us nigah-e-hausla-afza ko den jawab
gum kar diya jise wo tamanna kahan se laen
hai lutf-e-dost harf-e-taqaza ka muntazir
ai bebasi majal-e-tamanna kahan se laen
'haqqi' bahut hai kar-e-junun dasht-e-zist mein
aasudgan-e-rah wo sauda kahan se laen
Ghazal
Ai dil tere KHayal ki duniya kahan se laen
Shaanul Haq Haqqi