اردو हिंदी
Ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho | Shaahi Shayari
ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho

Ghazal

Ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho

Rais Amrohvi

;

ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho
pyare ye aib hai to ba-hadd-e-kamal ho

'shibli'-o-'bayazid'-o-'gurunanak'-o-'kabir'
hangama-e-jalal mein raqs-e-jamal ho

sab ki zaban pe mast-kalandar ho dam-ba-dam
phir us ke baad raat mein DaT kar dhamal ho

phir ham-safar karen taraf-e-la-jehat
ne sharq-o-gharb ho na junub-o-shumal ho

aasan ruju-e-shams hai lekin tere malang
pahunchen wahan jahan se palaTna muhaal ho

ek kaenat-e-KHwab ba-sad mumkinat-e-KHwab
nairangi-e-KHayal ba-husn-e-KHayal ho

sarshaar-o-sarbuland-o-siyah-mast-o-sarfarosh
mahaul apne haal mein gum ho wo haal ho

gita ka tazkira ho to gautam se guftugu
aur wed ki zaban mein jawab-o-sawal ho

ai KHizr-e-waqt majlis-e-aqtab-e-waqt mein
zikr-e-moamla ho na fikr-e-maal ho

hum yun rawan hon rah-e-abad mein ki sadd-e-rah
mustaqil-e-wajud na mazi-o-haal ho

kya kya tasawwuraat hain kya kya taKHaiyyulat
aisa na ho ki ye bhi tilism-e-KHayal ho

sab kuchh hai gar tilism-e-KHayal-o-fusun to phir
ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho