ai dil-nashin talash teri ku-ba-ku na thi
apne se ek farar tha wo justuju na thi
izhaar na-rasa sahi wo surat-e-jamal
aaina-e-KHayal mein bhi hu-ba-hu na thi
kya sehr tha ki hanste hue jaan de gae
wo bhi ki jin ko tab-e-gham-e-arzu na thi
kya jaane ahl-e-bazm ne kya kya samajh liya
iKHfa-e-arzu thi wo chup guftugu na thi
wo kaun si sahar thi ki roi na phul phul
wo sham kaun si thi ki gham se lahu na thi
hum to farefta the 'ziya' dil ki aanch par
manzur mahz dilkashi-e-rang-o-bu na thi
Ghazal
Ai dil-nashin talash teri ku-ba-ku na thi
Zia Jalandhari