ai dil KHushi ka zikr bhi karne na de mujhe
gham ki bulandiyon se utarne na de mujhe
ghar hi ujaD gaya ho to lutf-e-qayam kya
ai gardish-e-mudam Thaharne na de mujhe
maqsad ye hai sukun kisi surat na ho nasib
ai chaarasaz baat bhi karne na de mujhe
chehre pe khaal tak bhi na chhoDenge bad-nigah
ai mere KHair-KHwah sanwarne na de mujhe
hai dekhne ki chiz jo bismil ka raqs bhi
duniya ye chahti hai ki marne na de mujhe
ye daur sang-dil hi nahin tang-dil bhi hai
gar bas chale to aah bhi karne na de mujhe
ab bhi ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukun
main TuT to gaya hun bikharne na de mujhe
Ghazal
Ai dil KHushi ka zikr bhi karne na de mujhe
Hafeez Merathi