ai dil-e-zar likho jaanib-e-jaanan kaghaz
haal ka likhte hain fuqara su-e-sultan kaghaz
marja-e-gabr-o-musalman hai wo but nam-e-KHuda
bhejte hain use hindu o musalman kaghaz
un ka mazmun bhi albatta huwaida hoga
ab jo aane lage us shoKH ko pinhan kaghaz
haif hai subh-e-watan se na hua warid-e-waqt
hech gahe ba-sar-e-sham-e-ghariban kaghaz
kisi ka bhi na jawab aaya hamein ghurbat mein
lakh hum likhe watan ko su-e-yaran kaghaz
wasf afshan ka hai kis sim-badan ke likhna
kaghzi hum ko hai darkar zar-afshan kaghaz
is qadar hum ne giran kar diye likh likh ke kise
warna kis martaba the shahr mein arzan kaghaz
likhte hum to KHat-e-mahbub ko har dam nau-KHat
likhne dete jo hamein dida-e-giryan kaghaz
mujh se diwane ko kya KHat wo pari-zad likhe
likhte albatta hain insan su-e-insan kaghaz
bhejta hun main kisi rashk-e-gulistan ki taraf
mera pahunchae magar murgh-e-gulistan kaghaz
bhejta hun main kisi sani-e-bilqis ke saub
mera le jae magar murgh-e-sulaiman kaghaz
kya magar bhul gae bais-e-jamiyyat-e-KHwesh
hum ko bheje na adam se jo azizan kaghaz
kahte hain nisf mulaqat hai maktub bhi yar
kabhi likkho to su-e-matam-e-nalan kaghaz
Ghazal
Ai dil-e-zar likho jaanib-e-jaanan kaghaz
Maatam Fazl Mohammad