ai dil-e-KHud-na-shanas aisa bhi kya
aaina aur is qadar andha bhi kya
us ko dekha bhi magar dekha bhi kya
arsa-e-KHwahish mein ek lamha bhi kya
dard ka rishta bhi hai tujh se bahut
aur phir ye dard ka rishta bhi kiya
zindagi KHud lakh zahron ka thi zahr
zahr-e-gham tujh se mera hota bhi kya
puchhta hai rah-rau se ye sarab
tishnagi ka nam hai dariya bhi kya
khinchti hai aql jab koi hisar
dhup kahti hai ki ye saya bhi kya
uf ye lau deti hui tanhaiyan
shahr mein aabaad hai sahra bhi kya
KHud use darkar thi meri nazar
KHud-numa jalwa mujhe deta bhi kya
raqs karna har nae jhonke ke sath
barg-e-awara hai ye duniya bhi kya
KHanda-zan gham par KHushi par ashk-bar
in dinon yaro hai rang apna bhi kya
be-tab-o-tab-e-shua-e-agahi
ishq kahiye jis ko wo shoala bhi kya
gahe gahe pyar ki bhi ek nazar
hum se ruThe hi raho aisa bhi kya
ai meri taKHliq-e-fan tere baghair
main ki sab kuchh tha magar main tha bhi kya
naghma-e-jaan ko giran-goshon ke pas
na-rasai ke siwa milta bhi kya
Ghazal
Ai dil-e-KHud-na-shanas aisa bhi kya
Ummeed Fazli