ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana
gham ki tauhin hai ashkon ka rawan ho jaana
dil ki aawaz bhi majruh jahan hoti hai
aise haalat mein KHamosh wahan ho jaana
mere aansu jo giren Tank lo tum juDe mein
dekh le koi to phulon ka guman ho jaana
ahl-e-sahil ko bhi andaza-e-tufan ho jae
qatra-e-ashk zara sail-e-rawan ho jaana
ruKHsat-e-mausam-e-gul ke bhi uThao sadme
itna aasan nahin ehsas-e-KHizan ho jaana
qaid-e-mausam nahin naghmat-e-ana dil ke liye
koi mausam ho gul-e-tar ki zaban ho jaana
mere jine ka sahaara thin jo nazren kal tak
kya sitam hai unhen nazron ka garan ho jaana
shauq-afza hai ye andaz-e-hijab-e-KHuban
dil mein rahte hue aankhon se nihan ho jaana
wo gulistan mein jo aa jaen to mumkin hai 'KHayal'
muskuraati hui kaliyon ka jawan ho jaana
Ghazal
Ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana
Faiz ul Hasan