ai dil ab ishq ki lai-goi aur chaugan mein aa
be-KHatar Thok ke KHam jang ke saman mein aa
KHauf ghammaz raqibon ka na kar kuchh hargiz
ho ke raazi ba-raza waqt hai maidan mein aa
fursat is waqt ghanimat hai nikal zulmat se
suljh kar zulf se ruKHsar-e-daraKHshan mein aa
gul-e-ruKHsara ka nazzara tu kar aankhen khol
angbin chakhne ko phir dil lab-e-KHandan mein aa
baad us ke jo agar samjhe munasib ai dil
qaid hone ke tain chah-e-zanaKHdan mein aa
harza phirne se tere gosha-nashini behtar
wahm-o-shak aur guman chhoD ke iqan mein aa
wasl-o-hijrat ke tain ek samajh 'afridi'
aql hai kuchh bhi agar sohbat-e-rindan mein aa

Ghazal
Ai dil ab ishq ki lai-goi aur chaugan mein aa
Qasim Ali Khan Afridi