ai dil ab aur koi qissa-e-duniya na suna
chheD de zikr-e-wafa han koi afsana suna
ghibat-e-dahr bahut gosh-e-gunahgar mein hai
kuchh gham-e-ishq ke ausaf-e-karimana suna
kar-e-diroz abhi aankhon se kahan simTa hai
KHun rulane ke liye qissa-e-farda na suna
daman-e-baad ko hai daulat-e-shabnam kafi
ruh ko zikr-e-tunuk-baKHshi-e-dariya na suna
sunte hain us mein wo jada hai ki dil chiz hai kya
sunte hain us pe wo aalam hai ki dekha na suna
gosh-e-behosh wo kya jis ne ki hangam-e-nawa
koi nala hi lab-e-nai se nikalta na suna
ham-nashin pardagi-e-raaz ise kahte hain
lab-e-saghar se kisi rind ka charcha na suna
kuchh ajab chaal se jata hai zamana ab ke
hashr dekhe hain magar hashr ka ghaugha na suna
baDh gaya roz-e-qayamat se shab-e-gham ka sukut
jism-e-adam mein kahin dil hi dhaDakta na suna
nauha-e-gham koi us bazm mein chheDe kyunkar
jis ne giton ko bhi ba-KHatir-e-begana suna
Ghazal
Ai dil ab aur koi qissa-e-duniya na suna
Shaanul Haq Haqqi