اردو हिंदी
Ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de | Shaahi Shayari
ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de

Ghazal

Ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de

Meraj Faizabadi

;

ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de
meri thakan ko gard-e-safar ka libas de

parwardigar tu ne samundar to de diye
ab mere KHushk honTon ko sahra ki pyas de

fursat kahan ki zehan masail se laD saken
is nasl ko kitab na de iqtibas de

aansu na pi sakenge ye tanhaiyon ka zahr
baKHsha hai gham mujhe to koi gham-shanas de

lafzon mein jazb ho gaya sab zindagi ka zahar
lahja bacha hai is ko ghazal ki miThas de