اردو हिंदी
Ai dard na tham sar aur uTha dil chaaragari ki rah na tak | Shaahi Shayari
ai dard na tham sar aur uTha dil chaaragari ki rah na tak

Ghazal

Ai dard na tham sar aur uTha dil chaaragari ki rah na tak

Afeef Siraj

;

ai dard na tham sar aur uTha dil chaaragari ki rah na tak
dekh ashk-fishan hai ab tujh par sahraon mein diwana tak

tum lauT chuke ho gar to kaho ya baqi hai arman abhi
pahle hi tumhein hum de baiThe hain jaan ka ye nazrana tak

sahra mein base sab diwane shahron mein bhi mahshar hai barpa
allah teri is KHilqat se baqi na raha virana tak

timsal pe KHun-e-nahaq bhi aur aatish-e-zulm-o-jaur bhi hai
Dubi hui chashm-e-shauq bhi hai KHush-rang ruKH-e-jaanana tak

khiDki darwaze band karo masnad bhi sameTo ai logo
mutrib bhi gae shamen bhi bujhin aur KHatm hua afsana tak