ai be-KHudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko KHayal-e-yar kahin DhunDta na ho
sahil pe ja lagegi yunhi kashti-e-hayat
apna KHuda to hai jo nahin na-KHuda na ho
achchha hijab hai ki jab aate hain KHwab mein
phir phir ke dekhte hain koi dekhta na ho
dil hi nahin hai jis mein na ho dard ishq ka
wo dard hi nahin hai jo har dam siwa na ho
Ghazal
Ai be-KHudi Thahr ki bahut din guzar gae
Fani Badayuni