ai be-KHabari ji ka ye kya haal hai kal se
rone mein maza hai na bahalta hai ghazal se
is shahr ki diwaron mein hai qaid mera gham
ye dasht ki pahnai mein hain yaadon ke jalse
baaton se siwa hoti hai kuchh wahshat-e-dil aur
ahbab pareshan hain mere tarz-e-amal se
tanhai ki ye sham udasi mein Dhali hai
uThta hai dhuan phir mere KHwabon ke mahal se
raaton ki hai taqdir tera chand sa chehra
nazron mein hai taswir tere nain kanwal se
Ghazal
Ai be-KHabari ji ka ye kya haal hai kal se
Yusuf Zafar