ai be-dilo harif-e-shab-e-tar kyun hue
kachchi agar thi nind to bedar kyun hue
sahra ko aaj kosti phirti hain aandhiyan
diwane gulistan ke taraf-dar kyun hue
sust-eatibariyon ko nahin tab-e-intizar
wade sahar ke sarf-e-shab-e-tar kyun hue
sharma gaya chaman mein tabassum bahaar ka
hum gul-farosh zaKHm-e-dil-e-zar kyun hue
kya gulsitan mein thi safar-amada bu-e-gul
jhonke hawa ke qafila-salar kyun hue
ai zindagi naqab ulaT kar jawab de
fan hum se puchhta hai ki fankar kyun hue
Ghazal
Ai be-dilo harif-e-shab-e-tar kyun hue
Parvez Shahidi