ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao
sham-e-ummid ki lo ho gai kam so jao
chand-taron ki chamak ho gai kam so jao
sarhad-e-subh mein hain shab ke qadam so jao
ab na jago kisi guzri hui shab ki yaado
tum ko hum jagne walon ki qasam so jao
bujh gai shama bhi parwane bhi dam toD chuke
un ke aane ki ab ummid hai kam so jao
DabDabai hui aankho tumhein ashkon ki qasam
khul na jae kahin ulfat ka bharam so jao
gham ke maron ko sukun milta hai maiKHane mein
jao chheDo na hamein shaiKH-e-haram so jao
dil dhaDakne ki bhi aawaz hai sakit 'mahir'
ab nahin koi sharik-e-shab-e-gham so jao
Ghazal
Ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao
Mahir Al-Hameedi