ai ajal ai jaan-e-'fani' tu ne ye kya kar diya
mar Dala marne wale ko ki achchha kar diya
jab tera zikr aa gaya hum dafatan chup ho gae
wo chhupaya raaz-e-dil hum ne ki ifsha kar diya
kis qadar be-zar tha dil mujh se zabt-e-shauq par
jab kaha dil ka kiya zalim ne ruswa kar diya
yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiye
bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya
dardmandan-e-azal par ishq ka ehsan nahin
dard yan dil se gaya kab tha ki paida kar diya
dil ko pahlu se nikal jaane ki phir raT lag gai
phir kisi ne aankhon aankhon mein taqaza kar diya
ranj paya dil diya sach hai magar ye to kaho
kya kisi ne de ke paya kis ne kya pa kar diya
bach raha tha ek aansu-dar-o-gir-e-zabt se
joshish-e-gham ne phir is qatre ko dariya kar diya
'fani'-e-mahjur tha aaj aarzu-mand-e-ajal
aap ne aa kar pashiman-e-tamanna kar diya
Ghazal
Ai ajal ai jaan-e-fani tu ne ye kya kar diya
Fani Badayuni