اردو हिंदी
Ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain | Shaahi Shayari
ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain

Ghazal

Ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain

Sirajuddin Zafar

;

ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain
aalam mein pas-e-parda-e-parwaz hamin hain

ai jabr-e-mashiyat ba-hama be-par-o-baali
ab bhi hai jinhen himmat-e-parwaz hamin hain

KHush hain ki nahin us sitam-ara ka sitam aam
nazan hain ki us ke hadaf-e-naz hamin hain

wo anjuman-e-naz-e-butan ho ki sar-e-dar
jis samt se guzre hain sar-afraaz hamin hain

dekhen jo kisi aur taraf bhi wo sar-e-bazm
maqsud-e-nigah-e-ghalat-andaz hamin hain

ai shahid-e-mani saf-e-shirin-suKHanan mein
hai koi agar shair-e-tannaz hamin hain

ai jaan-e-'zafar' 'hafiz'-o-'sadi' ki qafa mein
ab waris-e-mai-KHana-e-shiraaz hamin hain