ai aawara yaado phir ye fursat ke lamhat kahan
hum ne to sahra mein basar ki tum ne guzari raat kahan
meri aabla-pai un mein yaad akasr ki jati hai
kanTon ne ek muddat se dekhi thi koi barsat kahan
be-his diwaron ka jangal kafi hai wahshat ke liye
ab kyun hum sahra ko jaen ab waise haalat kahan
jis ko dekho fikr-e-rafu hai jis ko dekho wo naseh
basti walon mein haar aae wahshat ki saughat kahan
Ghazal
Ai aawara yaado phir ye fursat ke lamhat kahan
Rahi Masoom Raza