ai aabla-pa aur bhi raftar zara tez
is dasht-e-pur-asrar mein chalti hai hawa tez
aasar to kuchh aise KHatarnak nahin the
kya jaaniye kis tarah ye tufan hua tez
kuchh abr-o-hawa barq-o-sharar se nahin matlab
is daur-e-pur-ashob mein har shai hai siwa tez
kya mauj-e-suKHan kya nafas-e-saeqa-parwar
bas ye hai ki ho jati hai aawaz-e-ana tez
uThte hain sar-e-rah jahan zard bagule
hota hai wahin raqs-e-junun aur siwa tez
shayad ki rag-e-jaan mein lahu zinda hai ab tak
aksar dar-e-zindan se ubharti hai sada tez
taqdir-e-mohabbat bhi badal jaegi 'nami'
un hathon pe ho jae zara rang-e-hina tez

Ghazal
Ai aabla-pa aur bhi raftar zara tez
Nami Ansari